Sunday, November 30, 2014

SRI SRI AT GHAZIABAD

Transcript of Satsang with Gurudev @SriSri at Ghaziabad today ! 30.11.14
#SriSriNow #SriSriInGzb

Wo kehte hai 8wks(2mnths) jo, koyi dhyan karega, do do time , subah shaam 20-25mins , unka brain structure change ho jaata hain, unka gray matter badh jata hai,usse alzheimer's jaise badi badi bimariyo ko aane se rok sakte hai,
Dhyaan ki itni visheshta hai !!
Hum toh jaante hi the, ab vaygyaniko ne bhi thappa maar diya...!Hum toh kabse keh rahe hain!

Humare desh ka sabse bada Mantra samja gaya Gayatri Mantra,
Pata hai kyun?  Kyunki wo bhi yehi kehte hai...

"Dhiyo yo naa Prachodayat"
Meri buddhi ko Prachodan kare....! Ye dhyan se hi hoga

Ab dekhe Aapne 22min dhyaan kiya, aisa lagaa kyaa?
Kitne logo ko aisa nhi laga?haath uthana!

Hum kehte aree mann bhatakta hai, mann idhar udhar bhatakta hai..kaise jaayega? Usko bithane ka tarika jaan na chahiye,skill chahiye,yukti pata chal jaaye toh mann aaram se beth jaata hai!
Isse jeevan main bahut adheek kaabh hota hai...!

Muje pata hain ki maccchar ki bahut samasya hai...
Hai naa.. macchar ko bahut irshaa hoti kehte koyi dhyan kare toh !
Fallen yogi hai, bhrast yogi hai, dusro ko dhyan nhi krne dete(laughter)
Iske bawjut bhi hum chodte nahi...Dhyan karna hai!
Gaan , Gyan aur Dhyaan!
Gyaan ko bhi hume lete aana chahiye...kbhi ye nhi samajna hum sikh chuke !
Jeevan mai parivartan ki bahut gunjaesh hai!
Har vyakti...
Parivatansheel Jeevan hi jine layak hai!
Aap apne hi jeevan ko ek nazar se dekho, drashti daalo,
Aap jeevan main  kitna gyan liya hai.. , aur kitna prem diye ho
Hum marenge na jab, sab marte hai naa? sablog marenge na? Ek na ek din marenge hi,
Tab ek hi Prashna saamne aayega
Kitna Gyaan liya aur , kitna Prem diyaa?
Hum Is daud main rehte hai ki humko kitna prem milta hai aur kitna gyaan denge dusro ko ;)
Ye dukh ka rasta ha,harek dusro ko Salaah dene main maahir hai sab!
Dusro ko salah dene main hum aage badh jaate, unko chahiye nhi chahiye hum dene lagte hai,
Yeh nahi chalega :D ,
Hum kitna gyaan lete hain, aur kitna prem denge...Hmmm..theek h naa

Main Doctors se anurodh karta,
Aaplog hygiene ka lesson dijiye har mohale main jaake!
Karenge !

Einstein jaise vyagnik ne kaha,
Geeta padhne se mera jindagi badal gayi!
Hum Bharatvashi, hum Issi pradesh main jo Geeta ka udgam sthan hai,agar wahan na padhe?Sirf 700shlok hai, ek saral anuvaad ko le ke ek baar padh lo naa.. karenge naa?kitne log karenge?
Ek baar padhlo isme sabke baare main hai,
Bhojan ke, jeevan ke , sangharsh ko hum kaise nibhaye in sabke baare main bataya hai!
Bahut faida hoga isse!

Gaan,Gyaan aur Dhyaan ye teeno humare jivsn main aana chahiye, Fir kya bas itnaa hi kaafi gai?
Fir Ussse karma main utarna chahiye!sabko kaam main lagna chahiye...
Kyaa Kaam karoge?
Gyaan se aur dhyaan se andar ki safai hui,
Aur bahar bhi hume safai karna chahiye,
Humara Ghar ki safai rakhni chahiye....
Kitne log apne ghar ke wash basin bhi roj saaf nahi rakhte, sach bolo... diwali ho, koyi tyohaar ho tab safai main lag jaate hain!!

?...Ayurveda ke nushke hain usme...

Achha kitne log roj haldi  prayog karte hai gharon main(kareeb kareeb sab)
Magar aapko ye pata nahi hai,Haldi main 19 life saving drugs kaa gun usme chippa hua hai..kitne logo ko nhi pata ? Haath uthana!
Kitne logo ko viral fever hua hai, Haath uthana
aapko pata hai haldi is anti-Viral hain..kitne logo ko nhi pata tha... Haath uthana

Main baar baar haath uthva raha hun, kbhi kbhi pravachano main neend aa jaati hai..

Kacha haldi hai na, jisse achhar banate hai Nimbu daalke kaccha haldi aur adrak use karte hai naa
Anti inflammatory hai, blood thinner hai..
Heart problem hai doctor bolte hai,nhi haldi lo..
Anti Cholesterol hai!
Aur kehte hain, anti-Ageing Hai...
Humare purvajo itne buddhimann the , haldi ko itni vishesta di gayi hai,pehle haldi kharido, chahe
Shaadi ho ,naya kapda kharide,   naya kaapda kharredo
Humari daadi jab bhi naya kapda lete the pehle bolti thi haldi lagao, fir pehne ne deti thi, hume lagta tha ki naya kapda liya usme kyun haldi lagaye? Ab samajne aata hai, kyun itni visheshta di gayi hai

Roj ek Ghantq dijiye desh ke liye,
Jaise shaniwaar , itwar milke 7ghante dijiye, dekhiye
Kitna badhiya kaam ho sakta hai!!

Bhaarat duniya main Gyaan ka capital hona chahiye,
Prem ka capital hona chahiye, adhyatma ka aur maanviya mulyo ka capital hona chahiye,
Aur pata hai kyaa, cancer aur diabetes ka capital maana jaayega aisa doctors ka maan na hai

haldi is anti ageing, anti oxidant, haldi ko apne ghar mein ache se upyog kare. Kacha haldi mein aur jyada gunn hain. Aise tulsi, jin jinko humne pavitra mana hai ya devi ka vaas mana hai wo sab jeevan dayi hai

Neem bhi, nimbu bhi. In sabko prayog karna hai

Roj ek ghanta desh k liye hum dein. Nasha aur sharab rokna hai. Ye ek baat hai. Yaha jitne bhi yuva hain shaadi nahi hui hai main kahunga ki apki shaadi mein sharab nahi batni chahiye. Arey hosh k saath utsav manao bhai. Behoshi logo ko karke tum kya shaadi karna chahte ho? Sabko behoshi mein kyo lejana. Waise mast karen

Mahilaye asurakshit hain sharab ki wajeh se. Hum Tihar jail gae. Waha pata chala jo 98% apradh hua hai mahilaye k... wo sab nashe k orrr mein aake hua hai. Isliye shaadi mein sharab band karne ka sankalp hum sab logo ko lena chhahiye. Bhaye yaha to khushi mein bhi peetey hain gum mein bhi peetey hain. Koi election mein jeet jata hai to bhi sharab peetey hain koi haar jata hai to bhi peetay hain. Kisika bday ho to sharab peetay hain. Koi mar gaya to uske gum mein gum ko bhulaane k liye sharab peetey hain

Ye pratha humein band karna padega. To ek ek ghanta desh k liye aap rakho. Hum log groups mein sab log seva kaam mein lag jaein. Gaziabad cancer, diabities aur apraadh se mukt hojae. Koi aur nahi kar sakta isko, humko karna padega. Karenge?
Yaha k saansad bhi baithein hain, yaha k vidhayak ji bhi baithein hain, yaha k sant bhi baithein hain. In sab k saamne aapne aaj liya pratigya hum sab log ek ek ghantey desh k liye denge

?...Aur Hinsa se mukta reh sakte hai,
Jo sun ne main aa raha hai yahan hinsa badh gayi hai..
Us hinsa par kabu karne ke liye hum sabko kaam karna hoga..
Maanviyata, apnapan badhana hoga

Hinsa ka main do hi karan samajta hun-
Galat faimi, Dusra Asurakshita
Yaa teesra yeh keh sakte, koyi vyakti
Ghaav se pidit hai,gehri thesh pahuncha hain usko!

Ghaav par malam patti lagana padega..
Usike liye Gaan , gyaan aur dhyaan kaam aayega
Toh seva ke prakalp main yadi jud jaayenge toh bahut fark aane lagega...
Kitne lawyers hain yahan par, mainAap logo se anurodh karta hun, asp saal main 3free case lijiye, bilkul gareeb logo kaa case lijiye,Unko nishulk case le lenaa...

Aise kitne school yaa college teachers hai,
Aap se anurodh karunga, ki aap log kuch baccho ko Free tution dijiye,
Jo pratibhawan hai magar jo afford nhi kar sakte, unko ek ghante dijiye, do ghante dijiye...ye toh aap kar hi sakte hai naa?

Gyaan se kabhi duur nahi rehna. Gyaan ko jeevan mein utaarna chahiye. Main beech beech mein deta rehta hu 2-3 din mein twitter k zariye. Aap likh lijiye @SriSri. Twitter mein is account mein add kar lena. Ek aur akhiri baat mein kehna chahunga apko. Apne to akhbar mein padha bhi hoga dekha bhi hoga. Hum Iraq gae they. Logo ne kaha waha kyo jaa rahe ho? Waha sab jagah bomb. Jidhar bhi mudd k dekjo waha udhar bomb. Udhar to duaa niklegi nahi. Humne kaha geeta to upji yudh bhoomi mein. Shaanti ka sandesh bhi jaha sab shaant hain waha dene ji jarurat nahi, jaha ladai ho rahi hai waha jaruray hai

Baech rahe hain. 10-10 dollar mein un mahilao ki bikri kar rahein hain un jan jaati ki mahilao ko. Main bohit gar se kahunga aone volunteers itna unhone dhaerye se, nidarr hoke is kaam mein utre. Un ladkio ko bachaya, waha kaam kia. Jitna bhi kaho wo kaafi nahi hai. Inki bahaduri aur in volunteers anukampa, karuna sach much mein sarahniye hai

No comments: