Tuesday, November 25, 2014

GET ALL YOUR ANSWERS WITH GURUJI

Gurudev @SriSri at Kaithal #SriSriInHaryana 25.11.2014

Bahut Mehnat ke baad bhi kuch kaam nhi hota ya milta Isiko Durbhagya kehte hain,Aur Chaah uthne se pehle hi kaam ho jaye Jaaye Isiko Soubhagyashali kehte hai..

Pyaas lagi nhi aur paani pehle se maujood hai.

Dhyaan Sadhna karne se yehi(Soubhagya) hume Prapt hoga,Samay se Pehle, Jarurat se Adhik jo chahe wo prapt jaayega!

Hum Dukhi kyon rehte hain?
Kuch hum chahte hain wo prapt nhi hota yaa fir yaa jo mila chuKa hai wo chut raha hai..

Kuch hai wo chut naa jaaye ye iccha rehti hai, bhay rehta hai...Yaa jo mil nhi gaya wo mil jaaye ye Iccha rehti hai
Ye dono iccha ke alawa toh aur kuch nahi

To Ye dono kaam ho jaaye jisse usiko BrahmaGyaan kehte hai..Jo Praapt nhi hua uska Yog, aur Jo mil chuka hai uska Kshem "Yoga Kshem" yehi hai :)
Dono ho jaayega aap sirf dhyaan karo ,Seva karo aur satsang karo...Sadhna Seva aur Satsang!
Kyaa theek hai naa? Theek hai..... ;)

Kuch log Ishwar ko maante hai, kuch nahi maante..
Ishwar ko maano na mano!Magar aap Apne Aap ko toh maante ho naa?Apni baat ko toh maan lena-
'Main hun' aur 'Muje kyaa chahiye" Itna bhi sochne se Kaafi kuch Rasta saaf hone lagta hai..dhundhlapan jo hai jaata hai...

Main kaun hun, muje kyaa chahiye...ye jaano!

Dekhte dekhte jeevan aise bit jaata hai...
Aadha samay sone main, baaki khaane pine main,
Nahane Dhone main aur mumbai, delhi ho toh traffic main(laughter)
Muskurane ka samay nhi milta,Prashna rehne ka samay nhi milta,Ye kaisi jindagi hai,kuch bhi ho jaaye, hum apne aapko sambhal ke rakhe,Mann sambhal jaaye, toh jaano aapne kuch paaya

Woh Dhyaan se bhi ho paayega...! Hmmm
4 Tarah se humare Jivan ki Abhivyakti karte hain
Vaani(Speech)
Bhaav(Emotion)
Tarang(Vibration)
Astitva se(Presence)
Ye 4 tarah se hum apne aapko abhivyakt karte hai..
Vaani se jab karte hain woh choti baat hain,
Magar bhaav usse adhik mahatvapurna hai..

Agar koyi 2 ghanta khada rakh ke aapko prem ke baare main pravachan de magar uske mann main prem hi naa ho toh kuch nahi hota...
Ek kutta agar ghar main paal rakha hai toh wo aadhe min main samja dega prem kya hai (Laughter)

Ek chotta bacche ki ankho main jab dekhte ho toh uski najar main Prem kya hai wo samaj aa jaati hai !

Hum apne tarango se bahut jyada abhivtakt karte hai!
Agar aaapke tanav se bhare huein ho , fir aap yadi muskura raha Fir bhi aap us tanav ko pahuncha dete hain, agar aapke andar nafrat ho toh wo najar aane lagta hai...

Naa ghar main , naa school main koyi sikhata hsi ki kaise humari tarang ko suddh karo, sikhaya hai kyaa?apne vibrations ko kaise positive banao ye kisine sikhaya hai kya?

 Dhyaan Kare hum? 10-15min
Achaa toh aap sab volunteers banoge?
Behtaarin bharat ke liye?
Dekhiye hume wo kaam nhi karna jo hum nahi kar sakte,
Humko Wo hi karna hai jo hum kar sakte hain!
Agar kar sakte hain, aur nahi karte mye apraadh hai!
Jo hum nahin kar sakte, koyi aapse apeksha kare toh haath jod ke kah de hum nhi kar sakte ...maafi..

Ek ek aadmi aur 10 ko jaud le...
Safai ka abhyan , swachhta ka abhyan le le..
Ghar Ghar me Jaa ke Happiness survey kare..
Khushi ka survey karein...logobse puchhe aap khus jo?
Kya chahiye aapko jeevan main? Aap baatchit kare logon se...Ek apnapan,atmiyata samaj main failaaye, isse samaj
Usse humara samaj ka mahol badal jaayega...
Chotte Chotte gaauv main log pehle sayad aaj bhi sab ek dusre ko jaante the aaj samaj main wo baat nhi rah gayi!

Gusse ko kaise kaabu main laaye, ye bataya kya kisine?
Haaan? Nhi bataya! Jeevan main ye sab sikhna hai..
Apne mann je baare main, tarango ke baare main,
Ye hi jeevan jine ki kaala hai!! Theek h naa? Hmmm

Sharir swasth rahega,humara mann prasanna rahega,chit prashanna rahega,Buddhi tikshna hoga..
Abhi humne suna 2-3din pehle hi America me ek research paper nikli hain ki agar koyi 8wks/2mnths tak din main do baar Dhyaan karta hai toh unka Brain structure change ho jaata hai,aur jo gray matter hai brain main jisse intelligence hota hai wo baddh jaata hai...

Is tarah se kayi baatein aa rahi hai saamne,jisko humare puratan kaal se chaala aa raha tha humare yahan,aaj usko scientists logo ne recognise kiya aur ek tarah se thapa maar diya ki haan ye acchi baat hai, ye karna chahiye..

Issi tarahse ayurveda kaa bhi humein upyog karna chahiye..
Bhojaan ka tarika bhi,Bahut youngsters hain jinko lagta hai pizza jaa ke khaana chahiye..magar humara jo bhojan hain, jo masale daalte hain wo bahut accha hai humare cells je liye, thoda daalna chahiye, khaas kar ke haldi, pata hai kitne saare gunn hai haldi main?antibacterial hai, Antiviral hai , kisiko viral ho toh Kaccha haldi aise nimbu ke saath achar jaise bana kar khaana chahiye... kisiko heart ka problem ho toh Doctor kehte hai aspirin lo, blood ko thin karne ke liye, Haldi main bhi blood thinning properties hain

 Hume firse wo kaam karna hai, jahan samaj mei aatmiyata palpe firse,jahan aatmiyata khatam hoti hai wahin bhrastachar,durachar,atyachar suru hota hai..

Aap puchoge Gurudev aadhyatma aur samajik jivan main kya tal-mel hai?yehi Aadhyatma hi jivan main sudhaar laa sakta hai!

Kyun? Aadhyatma sehi aatmiyata failegi,Sab humein apne lagne lagenge,Apno se kisine Bhrastachar nhi kiya,gair samaj kar hi kiya hai!
Aadhyatma ek hi uttar hai samaj se atyachar,durachar agar dur karna ho

Yahan firse humain Aadhyatma ki lehar uthani padegi,
Uth hi gayi samj lo! Ek tarah se uthi gayi! Theek hai?
Abhi hum thodi der dhyaan kare? Uske baad hum baat karte hain hmmmm

 Magaj ki koyi bhi bimari ho usko rokne main haldi bahut upyogi hai..Ayurveda siddh ausadhh hai, usme aur jaaoge tih bahut saari baatein aayegi...
Aur.......
Kuch Prashna hai kyaa aap logo ke?
Haan...
(Q: Gusssa bahut aata hai..)
Achaa ye bataaye abhi ashaant hai kyaa?
(Ab theek hai naa..)(tobhi kbhi fir bhi tension ho jaati hai)
Dhyaan karo...

Jaise Roj Dant manjan karte ho na , agar ek din bhi brush nhi karoge toh baas aati h ki nhi? Waise mann ko bhi manjan karo ho to Dhyaan se..Agar brush nhi karoge toh baas aayegi na waise mann ko manjan nhi karoge toh bhi baas aayegi tension ke roop main,
Dental hygeine ke jaise mental hygeine bhi imp hai..!

Someone says..
Love you Guruji,
Guruji said Me tooo✌

Q.Gurudev, Iraq mai ho rahi hinsa ko kaise roke?
@SriSri: Hum bhi ussi main lage hue hai,Hum gaye bhi the, aur apna seva ka kaam bhi chal raha hai..bahut Dur dasha hai...
Hum sunte the na Bharat main Aurangzeb ke jamane main bahut atyachar ho raha tha logo par, kareeb kareeb waisa hi haalat hain waha par..

Hum nhi soch paa rahe wo udhar bhi kuch seva ka kaam bhi ho paayega, magar humare volunteers lage hue hain..

Yahan ke jo yazidi log hai , wo bhi humare jaise lagte hain..
Wo bhi teen baar suraj ko pranam, jaise hum sandhya karte hai naa..Wo log bhi Diya jalate hain...
Wo bhi punah janma main wishwas karte..
Lagta Hindustan se inka kabhi koyi naata raha hoga..

Ye kareeb 2crore 30lakh jitne the,aaj sirf 10lakh reh gaye
Inpar 74 baar akramann hua...
[22:22, 25/11/2014] Dr.Palak Ganatra: In logo ko dhanmantar karane ke bahut jabran ho rahi hai, trahi trahi ho rahe hain...Humare paas aaye the jab hum USA main the ki humari janjaati aise toh khatam ho jaayegi, humari madad karo..Hum bhi soch rahe the inki toh madad karni hai magar kaise hoga sab...
9,500 log pahaad par chale gaye..
Inko banduk ki nauk par bola yaa dhanmantar karo yaa,
Ya marne ke liye tayaar ho jaao...Ye dono ke liye tayaar nhi the, toh pahaad par chaddh gaye jahan ye log nhi aa sakte the..Ab wahan koyi khaana pina nahi hai..
Humne bola kuch 8-10ton ikatha karke bhejte hai pakaya hua sab, wahan aag bhi nhi hai sab pakane ke liye..
Pata hain humne 110ton saaman ikkatha kar liyaa..
Fir usko airlift bhi karke pahuchana tha,Bharat ki bass ki baat nhi thi,humnein America se baat ki fir unhone helicopter se saara saaman airlift karke pura pahuchayaa
Aaj hi wo complete kiya wo..,, khaana, tents, garam kapde sab...
Ye iska shrey humare volunteers ko jaata hai, jinhone bahut kaam kiya iske liye..

Bahut log acche hain,, kuch thodese hi log hi gadbad karte hain, magar humari najar se dekho toh wo bhi bure nahi,.koyi bhi bura nahi.. Sirf Bhatke hue hain...
Jab hum Iraq jaa rahe the, plain main beth gaye the tab humne inse baat karne ki koshish bhi ki,bachho aur mahilao ko pareshaan kar rahe the..
Jinke Guru nahi hote ya shastro se sikhe nahi hote wo aisi yog maya main fass jaate hain...
Jaante hain teen tarah ki yog maaya hai

 1 Mahamaaya - Ghor jadata
2 Mohmaaya - Paise ke picche etc.,bacho ke picche anddha ho jaate..
3 Yogmaaya - Jo shakti unke bhitar prakat hoti hai toh ye bhram ho jaata hai ki hum hi theek hai aur sab nhi..

Jab tak aadmi yog maaya se upar nhi uthta tab tak wo siddh nhi hota..purna nahi hota..yahan log fass jaate hain

Mere mann main ye baat hai..Main bharat sarkaar se bhi anurodh karunga ki Ek aisa council hona chahiye bharat main, jo yeh Dharmik logo ko salah de jo bhatakne lage usse pehle hi unko rasta dikhaye..Aur bhakt ko bhi unke piche bhatakne naa de..
Kitne
Dharmik kshetra main bhi fir, logo ki bhawnao
2-4aise hone lagta hai fir,Logo ka adhyatma parse vishwas hilne lagta hai..aisa nhi karna chahiye..
Aadhyatma kshetra Seva ke liye hai...

Aisa koyi dharmik insaan jab galti karta hai tab unko aam aadmi se double Sajja honi chahiye, khud hi le leni chahiye, isse hi prayaschitt kehte hain!!

Humne fir Plane se koshish kiya magar baat ho nhi paaya,
Ab toh sayad,fir toh buddhi aa hi jaati hai ki bhatak gaye the, chote ho yaa badde ...
Isliye sambhal kar rehna hai, seva karte rehna hain..aur satsang karte rehnaa!

Jo is drishtikon se chalta hai,Muje kuch nahi chahiye apne liye..main Auro ke liye hun..wah Gyaani hai!!
Jab auro ke liye hum hote hai tab trupti aati hain jivan main,Aisaa Trupti harek ke jivan main jalke ye lakshya hona chahiye jivan kaa!! Hmmmm

 Prodh(mature) khushi wahi hai,Jo dene main aati hain!

No comments: